Thursday, 17 March 2011

Classical Poetry of Evergreen Poets: Na tha kuch to kia tha, Kuch na hota to khuda hota...

Classical Poetry of Evergreen Poets: Na tha kuch to kia tha, Kuch na hota to khuda hota...: "Na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota duboya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota hua jab gam se yun behis to g..."

Na tha kuch to kia tha, Kuch na hota to khuda hota


Na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota
duboya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota



hua jab gam se yun behis to gam kya sar k katne ka
na hota gar juda tan se to zannon par dhara hota



hui muddat k 'Ghalib' mar gaya par yad ata hai
wo har ek bat pe kahna k yun hota to kya hota

Wednesday, 16 March 2011

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa... By Faraz


Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a
a phir se mujhe choor ke jane ke liye a



pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye a



kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye a



kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye a



ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye a



ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummidain
ye aKhiri shamain bhi bujhane ke liye a



mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat
chupke se kisi roz yeh jatane ke liye a



jaise tujhe ate hain na ane ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye a

Ab Ke Han Bichre To Shayad Khuwaabon main milen By Faraz


Ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain



na dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain



tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain



Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain



aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain



ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz'
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain
   

Sitaron Se age Jahan aur bhi Hain By Iqbal


sitaron se age jahan aur bhi hain
abhi ishq k imtihan aur bhi hain



tahi zindagi se nahin ye fazayen
yahan saikaron karawan aur bhi hain



kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain



agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain



tu shahin hai parwaz hai kam tera
tere samne asman aur bhi hain



isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
k tere zamin-o-makan aur bhi hain



gae din k tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere razadan aur bhi hain
   

Jurme Ulfat Main Log Hamein Saza Dete Hain

Jurme ulfat mein log hamein saza detey hain
kitne nadan hain sholon ko hawa dete hain

kaise mumkin hay dil bhi jale aur duhwan na ho
chot parti hai to pathar bhi sada dete hain

aap se to guzra hai waqt do ghari ka
log to sadion ki muhabbat ko bhula dete hain

bas jahan bhi raho sada khush raho
hum tum ko yeho "DUA" dete hain

kon yaad rakhta hy kisi ko bichar jane k baad
ghar ki dehlees chortey hi apne bhi bhula dete hain.

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun By Allama Iqbal


tere ishq ki intaha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun



sitam ho k ho wada-e-behijabi
koi bat sabr-azma chahta hun



ye jannat mubarak rahe zahidon ko
k main ap ka samna chahta hun



koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun



bhari bazm mein raz ki bat kah di
bara be-adab hun, saza chahta hun
   

Tuesday, 15 March 2011

Tere hote hue mahfil main jalte hain chirag By Faraz


tere hote hue mahfil main jalte hain chirag
log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag



apni mahrumiyo pe sharminda hain
Khud nahi rakhte to auro k bujhate hain chirag



bastiyan chand sitaro pe basane vale
kurra-e-arz bujhate jate hain chirag



kya Khabar hai un ko k daman bhi bharak uthte hain
jo zamane ki havaon se bachte hain chirag



aisi tarikiyan ankho main basi hain 'Faraz'
rat to rat ham din ko jalate hain chirag