Wednesday, 16 March 2011

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa... By Faraz


Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a
a phir se mujhe choor ke jane ke liye a



pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye a



kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye a



kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye a



ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye a



ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummidain
ye aKhiri shamain bhi bujhane ke liye a



mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat
chupke se kisi roz yeh jatane ke liye a



jaise tujhe ate hain na ane ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye a

No comments:

Post a Comment