Wednesday, 16 March 2011

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun By Allama Iqbal


tere ishq ki intaha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun



sitam ho k ho wada-e-behijabi
koi bat sabr-azma chahta hun



ye jannat mubarak rahe zahidon ko
k main ap ka samna chahta hun



koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun



bhari bazm mein raz ki bat kah di
bara be-adab hun, saza chahta hun
   

No comments:

Post a Comment